Gangubai Kathiawadi | Shikayat | Sanjay Leela Bhansali | Alia Bhatt | Huma Qureshi | Archana Gore

Shikayat", the latest song from Gangubai Kathiawadi comes at a point in her life where she makes some tough choices and rises through struggle and courage. This beautiful Qawali is composed by Sanjay Leela Bhansali, sung by Archana Gore, penned by A M Turaz and features Huma Quereshi in a gorgeous avatar that you can't miss out on. It also features Shantanu Maheshwari.

Gangubai Kathiawadi | Shikayat | Sanjay Leela Bhansali | Alia Bhatt | Huma Qureshi | Archana Gore Song Info

Detailed information regaring song Gangubai Kathiawadi | Shikayat | Sanjay Leela Bhansali | Alia Bhatt | Huma Qureshi | Archana Gore.

Caption Detail
Music Sanjay Leela Bhansali
Singer Archana Gore
Lyrics A M Turaz
Choreographer Kruti Mahesh
Music Arranger Shail HadaC
Chorus Singers Tarannum Malik Jain, Aditi Paul, Kalpana, Dipti, Ruchna, Pragti, Archana
Additional Programming Shivansh Kapil
Banjo & Harmonium Pradeep Pandit
Tabla, Dholak & Percussions Prashant Sonagra, Narendra Gangni
Recording Studio Sonic Bliss Studio
Song Mixed & Mastered Kunal Dabholkar

Song Video

Song Lyrics

Lyrics:

Kisiki Yaad Mein Shamein Guzarne Ke Liye,
Kaleja Chahiye Khud Ko Maarne Ke Liye…
Ke Ghat Maut Ke Har Din Utarna Padta Hai,
Yeh Ishq Dil Mein Meri Jaan Utaarne Ke Liye…

Suna Hai Ke Unko Shikayat Bahut Hai.
Suna Hai Ke Unko Shikayat Bahut Hai.

Toh Phir Unko Humse Mohabbat Bahut Hai,
Suna Hai Ke Woh Tod Dete Hain Dil Toh…
Hume Tootne Ki Bhi Aadat Bahut Hai.
Suna Hai Ke Unko Shikayat Bahut Hai.

Nazar Bharke Woh Dekhte Bhi Nahi Hain,
Humare Liye Sochte Bhi Nahi Hain.
(Nahi Hain Nahi, Sochte Bhi Nahi Hain)

Guzarte Hain Hum Roz Pehlu Se Unke,
Magar Woh Hume Rokte Bhi Nahi Hain…
(Haan Rokte Bhi Nahi Hai, Haan Haan Rokte Bhi Nahi Hain..)

Suna Hai Ke Nafrat Woh Karte Hain Humse,
Hume Unki Nafrat Se Raahat Bahut Hai.

Suna Hai Ke Unko Shikayat Bahut Hai.
Suna Hai Ke Unko Shikayat Bahut Hai.

Sheher Chahe Jeewan Ka Veeran Kardo,
Magar Dekhkar Humko Hairaan Kardo…
Bharam Aaj Bhi Hai Wafaao'n Ka Humko,
Ijaazat Hai Jaana Khataao'n Ki Tumko.

Khata Par Bhi Unki Khafa Hum Nahi Hain,
Kisi Haal Mein Bhi Juda Hum Nahi Hain…
(Nahi Hain Nahi Haa Juda Hum Nahi Hain)

Wo Ilzaam Jitne Bhi Chahe Laga Le,
Wafadaar Hain, Bewafa Hum Nahi Hain…
(Haan Haan Bewafa Hum Nahi Hain, Haan Haan Bewafa Hum Nahi Hain…)

Suna Hai Ke Woh Bhool Jaate Hain Milkar,
Humein Unki Yaadon Ki Daulat Bahut Hai.
Suna Hai Ke Unko Shikayat Bahut Hai.

Suna Hai Suna Hai Shikayat Bahut Hai,
Haanji Haanji Suna Hai Mohabbat Bahut Hai,
Haan Haan Haan Unki Nafrat Se Rahat Bahut Hai,
Humein Tootne Ki Bhi Aadat Bahut Hai,
Shikayat Mohabbat Haan Rahat Bahut Hai,
Humein Unki Yaadon Ki Daulat Bahut Hai
Suna Hai… Suna… Haa Haa Humne Suna Hai…
Suna… Suna… Suna… Hai!

Suna Hai Ke Unko Shikayat Bahut Hai.

Music : Sanjay Leela Bhansali Singer : Archana Gore Lyrics : A M Turaz Choreographer : Kruti Mahesh Music Arranger : Shail HadaC Chorus Singers : Tarannum Malik Jain, Aditi Paul, Kalpana, Dipti, Ruchna, Pragti, Archana Additional Programming : Shivansh Kapil Banjo & Harmonium : Pradeep Pandit Tabla, Dholak & Percussions : Prashant Sonagra, Narendra Gangni Recording Studio : Sonic Bliss Studio Song Mixed & Mastered : Kunal Dabholkar

Write a comment